Monday, January 7, 2013

Hindi Shayari


Dosto, me paheli baar mail bhej rahi hu pata nahi ki aap logo tak ye jayegi yaa nahi ho sake to muje bataa na
thaam loo muje, aankhon me behoshi chaa rahi hai
palkoon pe ansuu leke teri yaad aa rahi hai
pyar to bepanaah mere dil ne kiya hai tujse humdum
fir saza kyu meri nazrein paa rahi hai.
sitaroon se puuchte hai unke ghar ka pataa
hawaoon se puuchte hai kaha ho gai vo la pataa
kyu itna duur rakha hai mujse meri jaan ko
kyu itna tadpata hai, aisi kya kar di mene khataa
in sabka jawab rehmiyat k naate he sahi tu muje bataa
agar sach hai ki pyar ka dusra naam hai khuda
becheni b kitna tadpati hai is dil ko
jaise tanhai ruswa kar jaati hai mehfil ko
hosh nahi rehta khamosh b nahi rehta
hamesha deewana dhundta rehta hai apni manzil ko,
tujse ruuthna muje nahi aata
itna kamjoor nahi hai meri chahat ka naata
chahe sari duniya ho jaye tumse khafa
lekin tere saath hogi hamesha meri wafa.

0 comments:

Post a Comment