Monday, August 27, 2012

ZINDAGI AUR TALASH

*** Talash ***
Ab mujh ko bhoolne ke bahane talash kar
Musam naya hai, tazah thakane talash kar
Aankhon ki duobti hoee kafiyatain na dekh
In murdah aansoon main zamane talash kar
Mahloon ke baasiyon ne to thukra diya tujhe
Galiyon main apne dost purane talash kar
Ya roshni ki burf se chehre ko dhaanp le
Ya zulimaton main khawab suhane talash kar
*** Zindagi ***
Ishq fana ka naam hai ishq main zindagii na dekh
Jalva-e-aaftab ban zarre main roshani na dekh
shauq ko rah numa bana jo ho chuka kabhi na dekh
aag dabi hui nikaal aag bujhi hui na dekh
tujh ko Khuda ka vaasta tu merii zindagii na dekh
jis ki sahar bhi shaam ho us ki siyaahi na dekh

0 comments:

Post a Comment